What ever generation you may belong to, you would know who Roshesh Sarabhai is, unless you have been meditating in the jungles of Amazon or went on a trip to Mars or were underground hiding from some mafia or doing similar wild things then all you can do is catch the episodes on hotstar.
Roshesh, youngest son of Maya and Indravadhan Sarabhai had a talent of writing most annoying and wackiest poems in his annoyingly hilarious nasal voice.
Here we have compiled a list of 20 such epic poems by him.
1. Finally ho rahi hai paani ki bottle khaali..
jab nahi hai yahan garden..
toh kyun hoga maali….
2. In the bathroom of Sarabhai..
hogi monisha bhabhi ki pitaai..
rakhti hain who apna ghar who ganda..
jaise dal makhani me paneer pasanda….
3. Tring tring baji phone ki ghanti..
usne bola mera naam hai bunty…
fir who bola namsate maya aunty..
maine bola I am Rosesh ..sorry bunty
4. Tugduk tugduk tugduk..
Momma ne bola Rosesh..
Ruk ruk ruk ruk ruk ruk….
Maine peche dekha …
Look look look look look look….
Momma ne mujhe di ek horse riding ki…
Book book book book book book…!!
5. Yeh hai teen pair waala kutta,
Isko kabhi bhagaana nahi padta,
Susu karte waqt use pair uthaana nahi padta,
Yeh hai teen pair waala kutta !!!
6.Sone jaisa rang hai tera, aakhe jaise moti,
laash jaisi dikhti hai jab khuli aankh se soti
machli bu bu bu bu bu bu bu bu kissi de do choti choti…
7. Momma ka purse, jaise hospital ki pyaari koi nurse
Purse mein rakha tissue paper karta hai paseene ka ilaaj
Aur lipstick ho jaise, bhooke hotho ka anaj
Momma ke purse ka hai makhmali sa sparsh
Momma ka purse, momma ka purse
8.Meri moma Maya Sarabhai, yaani ishwar ki di hui badhaai
Ishwar ki samjhaai hui sachaai, ki duniya maaya se hi bani banaai
Sab kuch hai maaya, yeh sofa yeh kaaya
Ishwar ne table-cloth bhi hai maaya se banaaya
Rista bhi maaya, raasta bhi maaya, lunch dinner aur breakfast bhi maaya
Maya to sophistication ka Pratik hai, thodi contemporary thodi antique hai
Maya to hai mamta ka chhaya, sara pyaar aata always via maaya
Maaya hai jeevan ki preyasi, Maya hai jaise dining table ki kursi
Maaya hi dudh, Maya hi lassi, phir kaise kahu ki maaya chal basi?
9. Ek common man ko mili hai pari, jaise cheekuke saath ho raspberry
Aage aage momma aur peechay peechay daddy, jaise ho Tom and Jerry
Momma hai sweet shrikhand and papa ghee wali poori
Mauka hai khushi ka aaj, momma aur daddy ki anniversary!
10. Popat kaka ki aatma ka popat, udd gaya udd gaya udd gaya re
Shristi ke sajjan haatho se popat, jud gaya judd gaya judd gaya re
11. Tum samjho to mujhe bhi samjhana, kyu mera jeevan hai khokla
Pagal baawra sa anjaana… aise baasi khaman dhokla
12. Uff ye kabs, uff acidity, uff ye roz jaana ek ghanta bathroom
Wohi blue tiles ke beech white white toilet
Asmaan ke beech jaise baadal maasoom
13. Lakul lagul lakul lagul laal laal lagul lagul jelly
Jelly ke cabaret dancer jaise sharer mein chupi hai unkahi, unsuni paheli
Jelly – meri momma ka mann, narm, mulayam, meetha
pasand kare isse harr koi – Sangeeta, Rita, Nita, Anita.
Jelly gire zameen par to awaaz aaye plup plup
Baccha usme haath maare, to sunai deti hai thup thup
Jelly par kabhi fungus na lage, uska swaad kabhi bhankas na lage
Agar bachani hai hume hamari country
To jelly ko banana chahiye iss desh ka pradhan mantri!
14. Pud pud pud pud pud pud ubalta pani,
Pani mei uble chawal ki jawani.
Jawan ho kar chawal sajayenge thali,
Seene se lagayenge daal kali kali!
15. Khatar khun khatar khun khatar khun
Sun mere dil ki dhun
Tere pyaar ki oiling mil gayi isey
Toh khatar khun ka ho jaayega gun gun
16. Ghanan Ghanan Ghanan Ghanan
Badalo se aaye pehla surya kiran
Daaton ke liye daant manjan
Aur pet ke liye Kaayam Churna
17. Indu Sarabhai agar paapad hote…
Toh hum likhte pichle pachpan saal se mashoor
– swadisht, kurkure, sakene mein aasan.
Lekin wo to papad… nahi! woh toh hai insaan!
Aayega unki 55th birthday party mein mazza…
Jahan dinner hoga Italian…
Not poori, pulao aur do mishtan farsaan
18. O momma, o momma,
Tune mujhe Janam Diya,
O momma, o momma,
Sabse acha karam kiya,
O momma, o momma.
19. Jaspal Mama ne apni sanso se kaha,
Ruk ruk ruk ruk ruk ruk ruk ruk,
Mujhe lene aye hai yamraj udhar,
Look look look look look look look look,
Meri death ke baad ghar me saada khana,
Cook cook, Cook cook, Cook cook, Cook cook.
Monisha: Aage?
Indravadan: Choli ke peeche kya hai
pook pook, pook pook pook pook pook…
20.Hame pata bhi nahi tha zara bhi,
Ki lift mein hi chal basegi Bhabhi.
By : Archa Dave