Indian Television has given us numerous characters- pati-vratanaari, ideal wife, ideal women, ideal mother, ideal father, ideal brother (Uff.. . This can go on forever as there are many things ideal . . including ideal villain and ideal vamp 😛 )
But one thing that Star Plus (Umm . . yes, that’s right) also gave us was the character of Viraj Singh Rathore in the seria Nisha Aur uske Cousins, produced by Bodhi Tree Productions.
Viraj Singh Rathore was one iconic character that even after being shunned by his mother after his father’s death turned out to be one of the most noblest princes around. With his pro-feminist views and the path of utmost righteous that he followed, he instantly became one of the most revered characters of the Indian Television. – Although the character had gone a major change within a span of a week- ignoring that and focusing on his moral lessons that if followed is sure to change the way you look at people and inch you closer towards success.
1. Zero koi end nahin, zero toh shuruvaat hai. Ek nayi umeed ka naam hai zero, zero ke neechekuch nahin hota aur jab neeche kuch nahin hota tab insaan sirf jagah dekh sakta hai, upar!
2. Nothing’s tough!
3. Champions woh nahin hote jo jeetate hai, champions woh hotehain, jo haar kar bhi jeetne kasapna dekhte hain.
4. Kutte bhaukte rehte hain, haanthi apni chaal nahin badalta.
5. Tum kisise kam nahin ho, agar kami hai toh sirf soch mein, aur agar iss desh ki soch badalni hai, toh pehla kadam tumhe utaha padega. Jo tum karna chahati ho, agar woh sahi hai, toh desh-duniya ki koi taakat tunhe nahin roksakti.
6. Agar darr lag raha hai toh pehle apne aapse jhoot bolna bandhkaro.
7. Attack is the best form of defense
8. Jab tak tum apne darr se bhaagti rahogi, tab tak tumhara darr tumhara peecha karta rahega, tumhe darata rahega, aage badho aur darr ka saamna karo.
9. Agar life mein kuch karna hai, toh pehli ladai apne dimaag se ladni padegi.
10. Life hamesh do choices deti hai:
* Doosro ki galti par hass kar apna time waste kar sakte ho (ya)
* Apna keemti waqt apni galti sudhaarne mein laga sakte ho.
The choice is yours.
11. Har kisiko doosra chance nahin milta. Jise milta hai woh lucky hota hai.
12. Ek accha worker who nahin hota jo doosro se jyada kaam kare, woh hota hai jo smartly kaamkare.
13. Tension kam nahin hota hai, toh apni aankh bandh karke 3 baarlambi saans lekar khud koboliyegaki “I can do it, Nothing’s tough”
14. Agar galti karni hi hai, toh khul kar kijiye, darr ke nahin.
16. Jo log apne emotions ko khud par havi hone dete hain, wohkamzor hote hain aur who log wahipahunchte hain jahan haalat unhe pahunchate hain, wahan nahin jahan who pahunch sakte
hain.
17. Itihaas ladai shuru karne waalo ko nahin, khatam karne walo koyaad rakhti hai.
18. Apne dard ko chupana bahaduri nahin hoti.
19. Kuch chotey aisi hoti hai, jahan insaan khud nahin pahunch paata, use kisiki zaroorat hoti hai.
20. Hum sabka ek badal hota hai, jo hamesha hamare saath hota hai, jisme hamari yaadein, beetihui zindagi ke acche-bure pal rehte hain. Bin mausam baarish ki tarah woh bhi kabhi barasnachahate hain.
21. Pehle pyar ka ehsaas bachkana nahin hota, uske milne kikhushi aur khone ke gham mein jo log karte hai, wohharkatein bachkani hoti hai,
22. Pyaar ka rishta sahi waqt aur sahi haalat par hi ban sakta hai.
23. Ek sapne ke tootne ki sazaa un laakhon sapno ko nahin deni chahiye jinhe piroh kar acchi zindagi banayi ja sakti hai.
24. Nothing’s tough. Ek lakshya ke bina, acchi se acchi team bhi loser lag sakti hain, lekin agar lakshya saath ho tohinsaan aasmaan bhi choo sakta hai.
25. Insaan kitni bhi ucchayi tak kyun na pahunch jaye, nazron se girne ke liye kuch seconds hi kaafihote hain.
26. Immandari aur Mehnat, yeh do shabd bade kammal ke hote hai.
By: Archa Dave